Friday, December 12, 2008

Inn badaltey lamho mein- A song

Introduction:

In badaltey lamho mein

Ek badalti tasveer toh hain

Lekin waqt ke palatatey panno pe

Kuch cheharey ab bhi badaley nahi hain

Pahuch gaye hain chand par lekin

Taare ab bhi duur hi hain

Haryali lehalahati toh hain dharti pe

Par sapno ke rang poore khiley nahi hain

Waqt hain ab yeh sununey ka

Kya kehatey hain iss dharati ke bol

Uthey toh hain tez raftaar kadam musafir

Ab dekho mann ki aankhey khol

Chorus 1:

Aaj ki pehachan tumse hi hain

Kal ki raftaar tumse hi hain

Desh ke dil mein tumhi toh ho

Toh ab rago mein khoon banke baho

Inqlab ki chingari bankar

Choti si lau ko aag kar do

Dil mein dabe hain armaan jo

Unn sapno ko bhi mumkin kar lo

Intezaar mein hain raastey

Tayyar khadi hain manzilein

Toh saath mein le lo humsafaron ki toli

Dil karlo ek, chahey alag ho boli

Chorus 2:

Aaj ki pehachan humse hi hain

Kal ki raftaar humse hi hain

Desh ke dil mein hum hi toh hain

Toh kyu na rago mein lahoo banke bahey

Reprise:

Chaand mila toh kya

Taarey toh hain baaki

Safar lamba hain maana

Magar himmat bhi toh hain baaki

Chant:

Toh shuru toh karo

Ab mumkin hain

Koshish toh karo

Sab mumkin hain

Himmat toh karo

Dum hum mein hain.

Watan key tu sun le bol

Intezaar mein hain voh baahein khol

Watan pukarta hain humein

Kal ka har pal aaj mein hain

No comments: